maut k karno se bachen

in #article6 years ago

MARNE KE KARAN SE BACHEN
Characterless patni , chalak dost, jawab denewala noukar, aur sanpwala ghar, me rahna, maut k karan ban sakte hai isme koi sandeh nahi karna chahiye.
Chanak kahte hai ki ye char chijen kisi bhi byakti k liye jiti jagti maut k brabar hai , characterless patni, chalak dost, munh laga naukar, in sab se duri bana kar rakhna chahiye aur ghar me rahne wale sanp ko kaise bhi kar k ghar se bhaga dijiye ya use mar dijiye agar aisa na karte hai to byakti ko hamesha khatra bana rahta hai, kyonki kisi bhi ache byakti k liye uski wife ka characterless hona uske liye maut k brabar hai, wah byakti atma hatya karne par vivash ho sakta hai wah aurat hamesha byakti k liye dukh ka karan bani rahti hai, isi parkar nich byakti agar dost k rup me apke pas akar baithta hai to wah apke liye hamesha hanikarak hi sabit hoga, sewak ya naukar bhi ghar ka sara raaz janta hai , wah bhi yadi apne malik ki bat mannewala nahi hai to musibat ka karan ban sakta hai usse bhi har samay sawdhani baratni padti hai, to kabhi wakt ane par inpar bharosa nahi kiya jasakta kyonki waqt ane par ye dhokha kar sakte hai, isliye apna jiwansathi aisa chune jise apse prem ho, dost aisa chune jo apka hamdard ho aur naukar aisa rakhe jo vishwashi ho warna hamesha dukh me hi rahna hoga