Gold ka patriotic song release

in #film6 years ago

Mitro Akshay Kumar ki film Gold ka ek patriotic song release ho gaya hai. Lekin ye song "Chak De India" ke title song ko takkar nahi de sakta. Chak de India best song hai aur uski takkar me koi nahi. Waise ye song bhi achha hai, Mujhe ye bhi pasand aaya hai. Iss song ka bol hai 'ghar laayenge gold' song achha hai. Main iss song ko niche post ki hai aap dekh sakte hai. 


Image From Akshay Kumar Twitter

Aap bata de ki Gold film humare desh ki azaadi ke baad hockey olympic me jo pahli Gold mili thi usi par adharit hai. Ye film isi saal Independence Day par release hogi isi ke saath John Abraham ki Satyamev Jayate film bhi release hogi. 

Satyamev Jayate bhi patriotic film hai ye action drama film hai iss me John Abraham curroption se ladte huye najar aayenge. Mujhe to action filme jyada pasand hai lekin main pahle Gold film dekhne jaaunga kyo ki ye jyada interesting lag rahi hai aur iss me Akshay Kumar hai. Isliye main pahle Gold movie dekhunga uske baad Satyamev Jayate. 

Ab gaane ki baat karte hai, Gold ke 3 gaane release ho gaye hai usme sab bakwaas laga mujhe. Lekin ye jo aaj release hua hai ghar laayenge gold ye thoda thik hai. 

Satyamev Jayate ke bhi kuch gaane release hui hai lekin usme se sab se best Dilbar Dilbar song hai ye purani song ko remix kiya gaya hai lekin ye song mast hai aur Nora Fatehi ne kamaal ka dance kiya hai. 

Ye dekhiye Gold ka wo song jiss ki main baat kar raha tha.   

Video from Zee Music Company

Sort:  

You got a 3.35% upvote from @postpromoter courtesy of @amrishraj!

Want to promote your posts too? Check out the Steem Bot Tracker website for more info. If you would like to support the development of @postpromoter and the bot tracker please vote for @yabapmatt for witness!

Congratulations! Posting anda masuk peringkat 6 kategori Tulisan Dengan Bayaran Terbanyak, di 10 Besar Tulisan Hari Ini di https://steemit.com/peringkat/@puncakbukit/10-besar-tulisan-hari-ini-senin-30-juli-2018 .. ;^)

dekhne ki to banti h isse