Hi,Friends
Mein hoon @cryptoruner mujhe umeed hai sab kheriyat sey hoon gay aor khushi sey hoon gay steemit par jo kay bohat achi community hai mein to naya hoon yahan par mujhey lagta hai ye mera safar acha hoga is post mein Pakistan kay khoobsurat phoolon kay bary mein btaney ja raha hoon kay Pakistan mein kon kon say aor kitne khoobsurat phool paye jaty hain phool Allah Tallah ki aik nehmat hain jo kay hamari dunia ko khoobsurat banaty hain is liye hamen inki dekh bhaal karnai chahiye na kay kharab karna chahiye is liye mein ney socha kay mujhe phoolon par post karni chahiye to chaliye start karty hain.
Ye hai "Gulab" ka phool hai jo bohat khoobsurat hota hai aor Pakistan kay har elaqy mein paya jata hai is ki bohat sari types hain jese kay Red Rose 🌹 ye bohat hi pyara hota hai har koi is ko pasand karta hai is ko zyadatar gift kay taur par istemal kiya jata hai aor jo Pink Rose hota hai us ki khushbu bohat pyari hotia hai wo gulkand mein istemal hota hai log khaty hain us ko shaoq sey mujhe khud ko gulab bohat pasand hain.
Ye wala phool "Peoni"kehlata hai aor ap dekh sakty hain kitna pyara hai ye wala phool mujhe b bohat pasand hai ye phool ye dunia mein bohat mashoor hai apni khubsurti ki waja sey aor ye ziadatar Pakistan kay barey shehron mein paya jata hai is ki khushbu to gulab jesi nahi hai par khubsurti mein us sey kam nahi hai ye.
Ye wala phool "Lily" ka hai jo k apni khushbu aor khubsurti ki waja ki waja sey bohat mashoor hai jo bhi is ko dekhta hai is kay pyar mein gum ho jata hai aor ye Pakistan kay har elaqy mein paya jata hai par thar mein nahi hai ye wala phool white aor purple kitna pyara hai na ye wala phool.
Ye wala "Ranunculus" hai aor bohat hi pyara hai is liye to popular hai puri dunya mein ye bilkul gulabi gulab ki tarha lagta hai par is ki patiyan thori moti hoti hai gulab ki nisbat par is ki khushbu nahi hoti hai gulab ki to bohat hoti hai khushbu.
Ye "Chanbeli" hai chota sa bohat hi pyara phool is ki khushbu attractive hoti hai bohat hi bhali khushbu hoti hai aor ye Pakistan ka national flower hai aor ye har elaqy mein paya jata hai Pakistan kay is kay phool hamesha white e hoty hain aor five-fifteen petals hoti hain iski.
Ye "Sweet-Pea" hai aor boaht hi pyara phool hai log isko bohat pasand karty hain iski khubsurti ki waja sey aor ye zyadatar cosmetics mein use hota hai par iski khushbu nahi hoti hai par color bohat pyary hoty hain iskey.
Ye "Dianthus" hai aor zyadatar small size mein paya jata hai bohat hi pyara hota hai ap pic mein dekh sakty hain aor ye thandy elaqon mein paya jata hai is ki khushbu nahi hoti hai par rang bohat pyary hoty hain har koi pasand karta hai mein khud bohat pasand karta hoon is phool ko.