Sub say acha Neem ka Darakht

in #health7 years ago
  • Sub say acha Neem ka Darakht

Neem ka darakht pak wa hind main her jaga per pyia jata hay , ya garam alaqon main bohot pyia jata hay as ka darakht taqriban 12 say 15 meter tak uoncha hota hay , neem ka darakht ko sharahon ka aas pas lagye jatay hain chapun ka lyia as ki chayian bohot thandi hoti hay aksar kaay gaoun main log garmi ki dopahar main as ka nechay aakay beth jatay hain aur sakon mehsos krtay hain , musafer hzrat lambay safar ka doran shadeed garmi main dopaher ko neem ka darakht ka nechay apna parao daltay hain , barishon ka dinon main ya neem ka poda bohot jaldi ug jata hay aur jar pakar layta hay aksar log asay mon soon ka musam main kasht krtay hain , as ka beej sat taqriban 7 say 8 dinon main kompal nikal aati hay aur pher aak sat do man main ya aak chota sa darakht ban jata hay , neem ka darakht ka her hesa hisa koi na koi bemari kay lyia bohot mufeed hay asy hakeem apni dawaioun main istamal kartay hain aur bohot say imraz kay lyia bohot mufeed hay logon ko as say bohot zida ifaqa hota hay.

NeemTree.JPG
source of link : http://barbadosflorafauna.blogspot.com/2013/09/neem-trees-azadirachta-indica.html

Neem ka darakht ka he hasay main Allaha tala nay shafa rakhai hoi hay bohot kadeem dor say hakeem apni adwiat main istamal karahiy hai as khoon saf hota hay aur jild per kharish khatam hoyti hay neem ka paton ko kuch dan kisi bhi methi cheez kay sath chadin to aap dekain kuch arsay main aap kay cheray ki rangat saf hojayee ghi aur aap ka rang saf hojaye gah as kay paton main ya khasiat ya anti baqtaria hay aur jesam main koi bhi fazal maday ko ya khatam karday ta hay aur jild saf aur khoon saf haota hay as kay alwa neem kay paton main anti canser hay ya khon main canser ki miqdar ko kam krta hay , as kay paton say aap sar ki kushki ko khatam karsaktay ho aur sugar kay marizon kay kyia ya bohot mufeed hay as kay rozana istamal say suggar control hota hay .

stock-photo-neem-leaves-used-as-ayurvedic-medicine-with-ground-paste-over-white-background-kerala-india-used-751429054.jpg
source of link : https://pixabay.com/go/?t=image-list-shutterstock&id=751429054

Neem kilarkri aap miswaq ka tor per istamal kar saktay hain as main aap ka dant saf honay ka alawal aap ka mon kay tamam baqtaria khatam kardayta hay aur aap kay danton main kera nahii lagta hay as kay paton ko aap pani main ubal laian aur pani ko thada karlian aur aakhon main dalian akhoun ki tamam kharish khatam hojayee gi agar aap kay cheray per danay hain to aap rozana neem pay paton ko ubal kay as say ap apna chra doian chand dino main aap kay cheray per danay khatam hojaian ghay .


stock-photo-close-up-of-ingredients-of-ayurvedic-treatment-i-e-neem-neem-leaves-neem-powder-bark-clove-turmeric-774865564.jpg
source of link : https://pixabay.com/go/?t=image-list-shutterstock&id=774865564

Neem ka bajon ka teel bhi bohot karamad hota hay as kay baej main taqreban 35% oil hota hay jasay bohot si bemarioun main istamal kyia jata hay as kay oil jab bej say nikalta hay to halka pela hota hay aur as oil main bohot say juz hotay hain jis ko hum bohot si bemarioun main istamal krtay hain ya bohot zida karwa hota hay


stock-photo-ayurvedic-anti-bacterial-herbs-neem-lilac-azadirachta-indica-with-oil-in-bottle-with-mortar-479101036.jpg
source of link: https://www.shutterstock.com/image-photo/ayurvedic-anti-bacterial-herbs-neem-lilac-479101036?irg

Neem ka oil say saban banta hay jis ko jild ki kharish main istamal krtaya hian aut cherahy ka dano main bhi ya saban bohot mofeed hay cheray per phoray pinci hain to as kay astamal say aap ka chrya kay tamam dany khatam hojain ghay
as oil ko thora gram karaky kan main dalnay say aap ka kan ka dard khatam hojayee ga ,


stock-photo-medicinal-ayurvedic-azadirachta-indica-or-neem-leaves-in-mortar-and-pestle-with-neem-paste-juice-580690174.jpg
source of link : https://pixabay.com/go/?t=image-list-shutterstock&id=580690174
Neem ki chal ka safos boay , neem kay puranay darakht ki upar wali chal utar kay asay doop main sokaian aur pher asy pes ka as ka safof banain as kay astamal puranay say purana zakham agar theek na ho to as per zara sa ya safof legain aur chand dinon bad ya zakahm sook jayee ga aur theek hojayee gha .

Sort:  

nice click

thanks hirakhan

Wlcm

Great Job!

neem is the most power full natural medicine for us.