Waise ye sach hai ki metros ab rahne yogya bachi nahi hain chahe kisi bhi metro mein chale jao isiliye log sukoon ki khoj mein idhar-udhar jaate hain.
Bhai Delhi ke bare mein aap ground reality samjho to niraash karne wali baat to ab tak thi jab sab political party's ise saaf sundar shahar banane ki baate to karte the apne manifesto mein par jeetne ke baad blame game shuru kar dete the. Ab pahli baar kisi ne apne words par khara utarte hua kaam shuru kiya hai jo sabko dikh bhi raha hai to frankly ye nirasha wali nahi balki khushi ki baat hai atleast ab ek hope to hai ki kuch saalon mein ye shaher bhi saaf ho sakta hai.
You are viewing a single comment's thread from: