Matlab sirf advertisement ke mamle mein aage hain sarkar. Warna online campaign to zabardast hain bhai. Waise itni kharab condition to Chennai ki bhi nahi hain aadha saal paani ka tehrna to kuch jyada hi ho gaya. Jhoolon ka saher wala target pura kiya shyaad. 🤣
You are viewing a single comment's thread from:
Bilkul Bhai main wahi sochta hoon ki jo log reels aur promotions dekhke kisi ko vote dene ka sochte hain unhe aankhein kholkar khud verify karna chahiye. Main koi hawa mein baatein nahi kar raha Jadatar Delhi abhi baarish band hone ke 3 mahine baad bhi paani mein dooba hai aur kaise yamuna nadi kisi naale se jyada gandi rehti hai. Inse kuch kehne jao to har baar ki tarah besharmi se keh dete hain ki is baar jitaa do saare kaam karwa denge.
Jaago grahak jaago ki tarah jaago voter jaago ka bhi campaign hona chahiye.
Bhai, Democracy is yehi to problem hain elections jo hain politicians ka beauty contest hain. Jo popular hain wahi jeetega. Uske plans kya hain kaise affect karte hain kuch matter nahi karta. Aur appke kahne ki tarah new gen easily influence ho jaati hain. Election sirf drama ban kar rah gaya. Matlab agar 51% se govt ban rahi hain that mean 49% abhi bhi naraaz hain. We really need Jaago Voter Jaago.
But campaign karne wala jail jayega nahi to khud trouble mein phans jayega.