Sort:  

Ye waalen kiya..
Haan inhe marsaa kahte hain Andaman mein
Google search mein inka naam Amaranth bataya hain.
Delicious, nutricious hote hain. Inke combination aloo ke saath bahut zabardast hota hain

Haaaannn ye hi. humare yahan ise Cholaai kehte hain. Pichhle saal pahli baar ise dekhne aur iske fayede jaanne ke baad kuch mahine humne ise kai baar khaya aur sach mein ise khate huye har bite mein feel hota hai ki ye bahut nutricious hai. So iska origin Andaman hai, Great!

Abhi ye andaman se yahan aaya tha ya yahan se andaman gaya debatable hain. But I am happy that itna awesome leafy veggie available hain market mein.

Kahin se bhi aaya ho, mere liye ye naya tha aur mujhe bahut swadisht laga. Aur search karne par pata chala ki tulnatmak roop se ye sarson-palak se bhi adhik paushtik hota hai par ise shayad saron-palak jitni lokpriyata nahi mili.