Aaj ka ye sundar najara aap ko pasand na aaye aisa to ho hi nahi sakta bhai log. Kamaal ki jagah thi ye aur kaafi sunsaan bhi tha. Waise itna darkness nahi tha thoda photo edit kar ke isko darkness banaya hai taaki thoda sundar dikhe aur photo me match kare aur mujhe lagta hai main apne kaam me kamyaab bhi hua hoon. Ab main lightroom bhi sikh raha hoon usme aur achhi photo edit hoti hai.
Waise aap ko ye waali photography kaisi lagi hai niche comment me jarur batana. Ek banda apni boat me bhi baitha hua hai. Waise ye fisherman hai shaam ko machli maar ke bas waha baitha hua hai apne dosto ka itnezaar kar raha hai.
Main aap logo ke saath sunset ki photography share karta hoon aur umeed karta hoon aap ko pasand aata hoga. Agar aap ko sunset ki photography pasand hai to aap mujhe follow kar sakte hai. Main kaafi achhi achhi photography share karta hoon baaki aap mera profile dekh sakte hai.
EXIF INFORMATION
Camera | Nikon D3200 |
Shutter Speed | 1/100 sec |
Aperture | f/12.0 |
ISO | 125 |
Post Processed | Adobe Photoshop |
Location | Assam |