Dosto kaise ho aap sabhi log mere khyaal se achhe hi honge. Bahut se log abhi kahi journey nai kar paa rahe honge corona ki wajah se. Koi nahi bhai log ek din sab kuch normal ho jaayega pahle ki tarah. Ye corona jald hi khatam ho jaayega. Khair journey to maine aaj kahi bhi nahi ki bas apne hi state me idhar se udhar ghumta rahta hoon aur kahi dusre state bhi nahi gaya hoon.
Boat journey bhi maine bahut ki hai apni jindagi me kyo ki idhar boat bahut chalte hai waise ye jo boat waale niche najar aa rahe hai aap ko. Ye sawari boat nai hai ye log machli maarne waale bande hai. Idhar se udhar ghoom kar apne hi boat par machli maarte hai.
Dekh rahe ho ek chota sa camp bhi lagaya hua hai in logo ne apne boat me taaki dhoop se bach sake. Aise boat aap ko humare Assam me bahut dekhne ko mil jaayega kyo ki yaha jyadatar log machli pakadne waale hai. Khair dosto umeed karta hoon aap ko meri ye photography pasand aayi hogi.
EXIF INFORMATION
Camera | Nikon D3200 |
Shutter Speed | 1/2000 sec |
Aperture | f/4.5 |
ISO | 400 |
Post Processed | Adobe Photoshop |
Location | Assam |