The birthday party of a friend

in #life6 years ago

Mera janmdin aane me abhi samay hai lekin ek dost ka birthday tha usi ne aaj pizza party di thi. Jyada nahi loota hum dosto ne usko bas thoda hi kharcha karwaya hai. Cake cutting ho gayi yaar, Cake cutting ki photo main aap ko apni agli post par dikhaaunga abhi to aap bas ye dekho. Apne dosto ke saath time spend kar ke bahut achha lagta hai yaar aur unke saath masty karne me bahut maja aata hai. 

Aaj hum sab ne bahut enjoy kiya, pizza khaayi cold drink piya aur film dekhne bhi gaye huye they. Lekin koi film dekhi nahi bas mall ghum ke aa gaye. Film dekhne gaye lekin thoda late se film start tha fir sab ka mood badal gaya aur bas sab ne mana kar diya. Khair maja bahut aaya friends. Achha yaar filme dekhte hai ki nahi aap log? Aaj shahrukh khan ki film zero ka poster aaya hai mujhe bahut achha laga yaar. Bauua ke role me fit baith rahe hai shahrukh khan. 

Ye movie to main jarur dekhne jaaunga. Maja aayega dekhne me, Khair ye choro aur aaj ki party ke baare me baat karta hoon. Aaj maja bahut aaya yaar sab dosto ke saath enjoy kiya aur idhar udhar ghume waha pizza shop me bhi bahut uttpaat machaya hum logo ne. Staff bhi gussa ho gaye they hum se lekin fir baat sambhaal li. Khair waha kuch photo liya hai maine aap dekh sakte hai. 

Sort:  

I admire your idea.

You got a 8.40% upvote from @upmewhale courtesy of @kinkarkumar!

Earn 100% earning payout by delegating SP to @upmewhale. Visit http://www.upmewhale.com for details!