Hangouts Kahani (Part 1)

in #love7 years ago

Jis tarha Purany wakton mi sham ko jalty bujhty diye mi chup k baith k wo boseeda kaghaz pe apni muhabbat k alfaaz, simti hui siskiyon mi lafz ba lafz aqeedat bhary lehjy mi parha jaya karta tha, Bilkul usi tarha Nae daur mi kuch ashiq Facebook, Twitter, or Hangouts pe jadeed messages parha krty hain. Pata hai wo ek ehsaas jo in sab jazbat ko hmary andar bnay rkhta hai chahy daur koi bhi ho janty ho kia hai?? Hamara "Yakeen" Yakeen se badi koi daulat nhi, Yakeen bhi is duniya mi har ksi ko naseeb nhi hota, Mgr Kuch Log is Yakeen or apne mathy mi piro kar peda hoty hain,.

Meri Baten Un logon k liye hain jo log Meri tarha ek khamosh sa dard apne dil k ek kony mi dabae bethy hain, Ek choti si lau, jo jalti to hai magr jiski roshni ham bahr bikharny nhi dena chahty! Hmare liye ye raushni nahi, balky mazi ka ek dard nak andhera hai jo apni lapyt mi le leta hai.

Hangouts Kahani isi tarha ki jazbaat, Ehsaasat, Dard, Taqleef ki ek kahani hai, jo meri life ka personal experience hai,Meri Kahani College ki ek Side walk se Start ho kr Hangouts pe dam todti hai, Ye us insan k bary mi hai jiska taaluq meri rooh (Soul) se wabasta(juda)hai. Here I would tell you a Universal Truth, jo ham sab andr se janty hain mgr kbi socha nahi k Muhabbat ek qudrat rakhti hai apne pas, Kabhi socha wo qudrat kia hai? Jis se apko Muhabbat ho jae ek bar, tab samjho k ye muhabbat tm dono ko Juda krny ki ghinaoni se ghinaoni or akhri had tak ki koshish kregi. Kitna maan rkhty hain hain ham muhabbat ka, Na jany Kitna bharam rehta hai, Mgr Muhabbat...Huhh, ye ek dardnak azab se kam nahi.

air-2241573_960_720.jpg

Ik Bojh Sa Hai Is Dil Mi
Wo Nikly Ya Dam Nikly

Har Roz ki tarha ham college k ground mi tehel rhy thy, Qudrat us din ham kuch is tarha mehrban thi k December k mahiny mi Asmaan pe kaali ghataon ki makhmali chadar bichi thi, Thandi hawaen apne aaghosh mi liye kabhi idhar ko jati to kabhi udhar ko, sard ghaas pe chalty chalty samny canteen ka rasta aya or har roz ki tarha ham coffee piny beth gay,

Lehaf mi lipta hua uska chehra ghullab ki tarha ghulaabi ghulaabi nazar arha tha, Us din meri nigaahen us par se hatt nhi paa rhi thi, mgr main wo Larka tha k mar jata, mgr dil ki bat honton tak na lata...Waja?? Waja yeh ke Mery jism pe utny mehngy kapry nahi thy jitni mehngi uski patli or nafees si bracelet thi, Ji han baki ap sab samjh chuky hongy...

Coffee agai, Aj bhi coffee uski taraf se thi, or aj bhi main na chahty hue zabrdasti us k kehny pe usky liye.....us k sath betha tha, Phone rkhty hi us ne apne hathon se coffee ka cup pakda, Main dekh skta tha uski khubsoorat safaid ungliyon pe dark brown color ki nail polish kitni haseen nazr arhi thi, Ek sip us ne us coffee ka bhara is andaaz se k jaise us kam zarf cup ko aala zarf kar dia.. Us cup ki khushnaseebi main dekh skta tha... Ek Lamhy ki khamoshi k bad achanak us wo naqabil e aitbaar alfaaz boly, Jinhy sun'ny k baad meri zindgi badal gai,

cup-hot-hands.jpg

Muje tmhari khamoshi pasand ai, Mujhe tumhara mere samny nazron ka jhukana pasand aya, Mera tumhre samny aaty hi tumhara behek jana pasnd aya... Main ek Khush mizaj larki hun, muje har ksi se qurbat ho jati hai, magr sun lo... Muje tum se paglon jesi muhabbat ho gai hai....

Muje bas tum ko chahna hai
Mujhe tum tak hi ana hai

Us ko sun'ny k bad canteen mi lagi badi si ghadi ki tik tik jaise achanak mere kano mi aur zoor zoor se bajnylagi, Kuch lamhon k bad samjh mi aya k wo tik tik ghadi ki nahi hai, bakly ye mere dil ki dhadkan hai jo mera dil or seena cheer k bahr any ki koshish kr rhi hai..

pic.png

Kuch wakt ko main ruka or khud ko sambhala, dhiyan dia apne hony pe... Khushi or kahuf ka ek alag hi mixture tha mere jism mi... Jo mujhe samh nhi arha tha ek pal ko bhi.. magr Muje khud ko is k baad kafi wakt k liye khud ko sambhalna tha, samajh nhi arhi thi main bikhra hua pehly tha ya ab hun... Kiyun k ye alfaaz jo us ne muje boly thy, main hamesha se bolna chata tha... Meri nazren us pr ruki rhin bht dayr tak... Us ne kaha muje tmhara koi jawab nhi chaiye, Muje to bas apna haal e dil batana tha, Mujhe to bas apna wo sach batana tha jo sirf tumhare liye tha... haan Muje tum se muhabbat hai..

Sort:  

Hola @waseel, upv0t3
Este es un servicio gratuito para nuevos usuarios de steemit, para apoyarlos y motivarlos a seguir generando contenido de valor para la comunidad.
<3 Este es un corazón, o un helado, tu eliges .

: )


N0. R4ND0M:
8619 3455 1949 3988
8731 4689 3668 7936
1127 5175 3372 6701
8147 1527 3696 8175

Congratulations @waseel! You have received a personal award!

1 Year on Steemit
Click on the badge to view your Board of Honor.

Do you like SteemitBoard's project? Then Vote for its witness and get one more award!

Congratulations @waseel! You received a personal award!

Happy Birthday! - You are on the Steem blockchain for 2 years!

You can view your badges on your Steem Board and compare to others on the Steem Ranking

Vote for @Steemitboard as a witness to get one more award and increased upvotes!