First of all I would like say extremely sorry for those steemian who like to read article
In English only, because this article will be in HINDI.
Jab ek student higher education ke liye college jata hai,tab usko itna to ehsash ho hi jata hai ki ab ye college ke 3 ya 4 Saal hi decide karega ki hamara future Kaisa Hoga. Aur ek bright future banane ke liye ek Accha aur reputed college bahut important hota h. Yani ki phele Accha college aur Acchae collegeo
Ke liye dena padta hai ek entrance exam,jiska exam clear wo jaate h NIT/IIT or jiska result kharab uska haal to 3 Idiots ke Farhan aur Raju Rastoogi ki Tarah ho gata hai ,matlab Jana padta h private college.
Mera bhi haal kuch unhi do namunoo ki Tarah ho chuka hai. Aur ajh Mai Apne state se bahar Bhopal ke ek private college me padh Raha hoo. Aur abhi mai apna 1st year complete Kar chuka hoon wo bhi Bina koi back ke aur abhi Mai 2nd year m hoo.
Lekin saach kahoon to jitna bhi din Mai Bhopal m Raha hoo,bus ek chiz ki kammi ke Karan bahut paresaani jhelni padi ,sahi soocha Apne PAISA . Kabhi room kiraya Der se Dene k liye room renter ki gaali aur khi ghoomne- phirne ke liye Jeb(pocket) khaali. Ghar se paise aate to the par limited usi se sabkuch manage karta tha.
Aur sach kahoon to Baar -baar Ghar se paisa mangana mujhe Accha nhi Lagta.
Jaise hi 2nd semester ke baad holiday Mili, Maine bhi Kuch paise earn krne ke liye soochne laga aur Maine Tay Kiya ki ONLINE EARNING will be the better option. Aur ek student ke liye iss se Accha option kya ho Sakta hai.
Iske liye Maine bahut se tarah-tarah ke app ,website use Kiya, Kisi se Kabhi Kuch 20-30 rupay ,to Kabhi Kuch bhi Nahi. Wo bhi din Bhar lage rehne ke baojood mehnat bekar hi jaai thi.
Blogging bhi online sikhi par fail ho jaa rha tha.
Finally I came to listen about STEEMit from moneyguruu( youTuber) aur iske baad Maine STEEMit ke baare Mai bahut search Kiya ki ye website genuine hai ya Nahi. And found that it is legit and paying website. And after 8-9 days of waiting my STEEMit account has approved and I started to work in it from 5th July 2018.
Aur abhi Mera college open hone m 3 week Baki h,aur abhi m isi m timinge de Raha hoo. college suru home ke baad ho Sakta hai ki mai Kam time doo. Kyunki maa- baap ne jo college ki fee Bhari wo bhi bekar nhi Jana chaiye.
Ab aap log soonch rahe hoge ki "uss se badhiya hoga ki beta Tu Accha se padh hi le, to life settle hi ho Jayega". Lekin aapko bata doo ki abhi mujhse present Ka haal Dekha nhi jaa Raha ,to future Ka Dekh Kar kya karoonga.
-waise bhi HAMARE COUNTRY M EMPLOYMENT KI KAMI ITNI BADH CHUKI HAI KI ,YE KEHNA GALAT NHI HOGA KI FUTURE M APPKO EMPLOYMENT K LIYE FREE M AAPKE MOBILE M MESSAGES BHI NHI AYNGE.
Thanks for giving your valuable time for this article.
Sort: Trending