Speed up Android Phone | boost android smartphone

in #steemit6 years ago (edited)

Salam Dosto ! mera name ha faizan.
To kia bhi ap android mobile ka slow ho jana sa tang hain?
g han ya masla taqreeban sab android users koo haa.
aksar to asa bhi hota ha k ap naya chamakta how mobile la
ka ata hain or kuch he maheno ma wo ap ko pahla sa slow
lagna lagta haa, to ghabraia nahi is ka hal moojod haa
or is ka lia ap ko kisi dukan pa nahi jana para gaa ya
ap khud he kar sakta hain.
is kam ko karna ka kai tareqa hain or kon sa tareqa is video ma mana ap ko taqreeban wo sara he tareeqa bata dia hain joo ap ka mobile ke performance
ko behtr kar sakta hain

1 : to sab sa pahla agar ap na bilkul naya mobile lia haa to
bohat sare companies ka mobile main pahla sa he kuch applications pre installed hoti hain, un main sa kafe to behad zaroorat ke hoti hain
sath he kuch bilkul ap ka maqsad ke nahi hotin, to behtr ha
ap un ko uninstall kar dayen is ka ilawa agar ap ka mobile porana ha ya us ke ram or hard kam ha to kosish karin k jin apps ke playsore pa lite versions para hain wo install karyn.e.g. facebook-lite ya 1Gb sa bhi kam ram wala mobile's pa achaa sa chalti ha.
sath he kosish karyen kaa ap sirf wo app install karyen
jis ke ap ko zarorat ha or agar koi app install karna ka
bad ap ko lagta ha ka zaroorat ke nahi ha to us ko usi waqat
uninstall kar dayen bajaye is ka wo asa he ap ka mobile ka resources use karti rahy.
us ka ilawa jo app's ap ko lagta ha kafe arsa sa app na nahi
use kein or kam he zarorat parti ha un ke to un ko bhi uninstall kar dayen. Q ka ya apps jab ap ka mobile main hoti hain to na sirf ya app ka mobile ke hard consume kar rahi hoti hain balka sath he in main sa kafi apps asi hoti hain jo app open na bhi karyen to wo backend pa ap ke ram or bettery consume kar rahi hote hain.
is ka ilawa Appstore pa kafi battery optimizer type
ke app's avaliable hain, yaa apps ap ka mobile ko faida
pohnchan ke bajay nuksan dati hain yaa apps us karna sa lagta to ha k ap kaa mobile ke bettery life ko 5,6
ghanta barha dati hain asa hargiz nahi ha, ya ulta ap ka
mobile ko slow karti hain balka yaqeen mana ap ka mobile
ke bettery life ko kisi had tak kam kar dati hain,Q ka ya un apps main sa ha joo musalsal app ka mobile maa back-end pa chal rahi hoti hain is kam k lia app ka mobile main pahla sa he function mojood hain or operating system ma kafi ase conditons lagi hoti hain jo ya kam khud sa he kar rahi hoti hain ap ko sirf itna karna ha mobile use karna ka bad rakhta waqat task manager jo har mobile ma show hota haa, is ma ja ka backend pa jo apps chal rahi hain in ko band kar dayen ya na sirf bettery life improve karta ha balka ram ko bhi clean karta ha jiss sa performance bahtr rahti ha.
isi tarhan task killer apps ko bhi install na karyen.

2: is ka ilawa kafi sara widgets ap ke home sceen pa pahla
sa he laga hain yaa ap khud bhi bad main add karta hain to bahtr ha app agr ya ap ka lia bohat zarore nahi to naa use karyen, Q ka ya kafi ram mosalsal use kar raha hota haa.

3: kosish karyen ka apna mobile pa home screen ko simple sa simple rakyen ya bhi mobile ke performance ko effect karta haa.

4: kosish karyen ka jab zarorat na ho bluetooth, wifi, dataconnection, autosync jasi cheezon koo off rakhyen.

5: agar app ka mobile ka ander ambient screen ke option ha to bahtr ha is koo off rakhen, ya option to bohat achi ha lakin ya kafi bettey consume karti ha or sath he kuch ram bhi.

6: is ka ilawa kosish karyen ka mobile space ko ziada sa ziada empty rakhyen Q ka aj kal picture or video banana ka kafi trend ha to amoman hamra mobile main kafi jagha in chezon na le hoti haa.
to is kaa solution ya bhi ha ka app in cheezon ko mobile memory card main store karyen, ya google photos app install kar layen, is paa photo sync on kar dayen is sa na sirf ap ka media ka backup ban jay gaa sath he bad main ap ya pics apna mobile sa delete kar ka space bhi free kar sakta hain.

7: kuch arsa bad apna mobile ke Cached Data ko bhi clear kar dayen, is kam ka lia ak app ha Ccleaner ya kafi achi ha lakin behtar ha is ko bhi use karna ka bad delete kar dayen.

8: is k ilawa bahtr ha apna mobile OS ko update rakhyen, ya update kar rakhna ka kafi faida hain per sath he sath is ka kuch nuksan bhi hain, g han.. bahtr ha porana mobile ko ziada update na karyen,
jin mobile ke specs kam hoti hain wo waqat ka sath wasa he slow mesoos hota hain agar beshak wo bilkul saaf bhi hon us ke wajha ya he ha ka jab mobile launch hota ha us ka operating system us ke specs ka sath behtareen tareqa sa optemize howa hota ha,
kuch saal bad ma ana wale updates new version mobile ka sath behtar kam karte hain or aksar porana mobilon ka lia nuksan da sabit ho jati hain.

9: is k ilawa ak bohat acha atreeqa ha ka ap apna mobile ke animations ko off kar dayen.is ko karna ka tareeqa

  1. Navigate to Settings on your phone
  2. Tap About phone.
  3. Tap the Build number 7 times.
  4. Return to Settings and Tap Developer options.
  5. Tap Windows animation scale and select “Animation off”.
  6. Repeat Step 5 with Transition animation scale and Animator duration scale.
    .

10 : new mobiles jo Nougat ya is sa uper ka version's hain un ma option aa rahi ha Switch to SKIA ya games ma kafi help karta ha or game ka lia mobile ke performance behtr ho jati ha ya option bhi app ko developer option ma he mela gee. is ko zaroor try karyn koi issue nahi haa or bad main khud compare kar layen
ka ap ka lia ya on behtr ha ya off, ya ap ka use pa depend karta ha.

11: is ka ilawa kuch or tricks hain jo agar ap ka mobile ziada he slow ho raha ho or in sab kamo ka koi khaas faida nazar na aa raha ho to
-> important apps ka ilawa sab apps ke background services off
kar dayen
-> ap koi naya launcher bhi try kar sakta hain jo ziada light hoo.
-> ya mobile ko restart kar layen.

12: last options main ate hain jo maa umwad karta hun ap ko na karni paryen

-> Factory Reset.
->Remove/Disable Bloatware
->mobile ko Root karna
->Force GPU rendering
->Overclocking
in ka lia ap ko thora techinical knowledge hona chaia, or is kar kam ka seprate tareeqa ap ko
youtube pa he mil jain gaa agar koi kam ap ko samhaj nahi ata to ap is video ka necha comment ma poch sakta
hain.
Mujhe umeed hai k is video ma ap ko kafi information mili go ge or agar video apko pasand aayegi..To

follow kren or video ko doston k sath zror share kren.
thank you.

Sort:  

Congratulations @faizandilbaz! You received a personal award!

Happy Birthday! - You are on the Steem blockchain for 1 year!

You can view your badges on your Steem Board and compare to others on the Steem Ranking

Vote for @Steemitboard as a witness to get one more award and increased upvotes!

Congratulations @faizandilbaz! You have completed the following achievement on the Hive blockchain and have been rewarded with new badge(s) :

You got more than 10 replies.
Your next target is to reach 50 replies.

You can view your badges on your board and compare yourself to others in the Ranking
If you no longer want to receive notifications, reply to this comment with the word STOP

Support the HiveBuzz project. Vote for our proposal!