Haal k dino me bacho dwara hinsa ki jitni bhi ghatnaaye saamne aai h takreeban un sab me school, padhai, or exams ki tension ki koi na koi bhumika rahi hai.
Kuch hi dino pehle khabar aai thi ki delhi ki class-9 ke ek student school exam k tanav me aakar father ki pistol se khud ko goli maar li. Students dwara hatya ke kaafi maamle haal me desvaaisyo ko jhakrote rahe hai. In ghatnaao k maddenazar samaj k jaagruk tabke is baat ko lekar chintit hai ki bacho me krodh badh raha hai.
Par kya sachmuch bacho me krodh badh raha hai. ? Kya is umar me itni paripakvata hoti hai ki unke krodh ko vaastav me unhin k krodh ke roop me paribhaasit kiya jaaye.