You are viewing a single comment's thread from:

RE: Shifting is exhausting!

in Ecencylast month

Idhar bhi same haal hain bhai.
Apna ghar ban gaya, Sunday hi grhapravesh hua tha. Bas abhi din raat saaman upper niche kar rahe hain.
Aisa mann karta hain mano shower ke niche hi baithe rahe. Har cheez par itni dhool kaise aa jati hai bhai..

Happy New Home, my friend.

Sort:  

Bahut sahi bahi. Badhai ho .

🙏 HBD Jo beche the yahi gaye hain. 😅
Kuch tiles aa gaye bas.

Pahli line padhke shock me aa gya Mai ki itne me Ghar kaise aa gya . Fir dekha bas tile ki bat ho rahi.

Mujhe laga agar itne HBD me Ghar aa jata hai to abhi buy karta Mai kuch Ghar vaha 😂😂

😂😂😂
Agar aisa hota to do char islands naa khreed leta abhi tak...

main filhaal rented hi hoon bhai bas kisi kaaranvash shift karna pada aur kyunki socha nahi tha ki rent par hi jana hoga isliye anjaane mein hi pata nahi kaise itna samaan ikattha hota gaya ki ab shifting ke samay halaat kharaab ho rahi hai. par khair finally kaam khatam ho gaya hai ab setting mein time lagega par wo kaam araam se kiya ja sakta hai.
Naye ghar ki badhai bhai! :)

Bhai abhi to bachelor rahe nahi isliye itna saaman hain. Warna meri shifting from Chennai to Mumbai 2 bags mein ho gaya. Kitchen ke naam par, ek steel plate, ek glass, ek katora aur ek chamach le gaya tha. Aaj ki date mein kitchen ka saaman hi 8-9 boxes aa jayenge.

Kaaran Jo bhi, nayi jagah aapke liye mangalmay ho. 🙏

Sach mein yaar, itna thaka diya is sab ne ki ab humne decide kiya hai ki agle kuch months mein samaan kam karenge at least jab tak apne permanent address par nahi pahuchte tab samaan kam hona hi accha hai.
Dhanyawad for the wishes Bhai, aapko bhi Naya Ghar Mubarak ho aur ye nayi jagah nayi aur dher saari khushiyan laaye.😊🙏🏼