You are viewing a single comment's thread from:

RE: Shifting is exhausting!

in Ecency4 months ago

main filhaal rented hi hoon bhai bas kisi kaaranvash shift karna pada aur kyunki socha nahi tha ki rent par hi jana hoga isliye anjaane mein hi pata nahi kaise itna samaan ikattha hota gaya ki ab shifting ke samay halaat kharaab ho rahi hai. par khair finally kaam khatam ho gaya hai ab setting mein time lagega par wo kaam araam se kiya ja sakta hai.
Naye ghar ki badhai bhai! :)

Sort:  

Bhai abhi to bachelor rahe nahi isliye itna saaman hain. Warna meri shifting from Chennai to Mumbai 2 bags mein ho gaya. Kitchen ke naam par, ek steel plate, ek glass, ek katora aur ek chamach le gaya tha. Aaj ki date mein kitchen ka saaman hi 8-9 boxes aa jayenge.

Kaaran Jo bhi, nayi jagah aapke liye mangalmay ho. 🙏

Sach mein yaar, itna thaka diya is sab ne ki ab humne decide kiya hai ki agle kuch months mein samaan kam karenge at least jab tak apne permanent address par nahi pahuchte tab samaan kam hona hi accha hai.
Dhanyawad for the wishes Bhai, aapko bhi Naya Ghar Mubarak ho aur ye nayi jagah nayi aur dher saari khushiyan laaye.😊🙏🏼