Dekho wo dil kholke bakna har jagah to nahi ho pata par vyaktigata anubhav se keh raha hoon beshak yahan nahi khol sakte Dil par samay samay par kahin na kahin jarur khola karo kyunki warna ye hume andar se emotionally weak bana deta hai. Aur ek baat ye ki forced writing mat karo. Main bhi kabhi kabhi likhna skip kar deta hoon jab andar se likhne ke liye excited feel nahi ho raha hota main nahi likhta. kyunki mann se na likhna aapke likhne ki practice ko hi niras aur depressing bana dega phir kuch samay baad ye karne se nafrat hone lagegi aur ek bada gap lene ka Mann karega to ye sab na isliye likho par pure mann se khush hokar tab dekhna ye practice kitni mazedaar ho jayegi. ✌🏼
You are viewing a single comment's thread from: